Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-119) Shifa Khana'ay Hijaz

Shifa Khana-e-Hijaz
The Hospital Of Hijaz

Ek Paishwaye Qoum Ne Iqbal Se Kaha
Khulne Ko Jaddah Mein Hai Shifa Khana-e-Hijaz

A leader of the nation once said to Iqbal
“A hospital is about to open in Jeddah for Hijaz

Hota Hai Teri Khak Ka Har Zarra Be-Qarar
Sunta Hai Tu Kisi Se Jo Afsana-e-Hijaz

Every speck of your dust becomes restless
As you hear from somebody the tale of Hijaz

Dast-e-Junoon Ko Apne Barha Jaib Ki Taraf
Mashoor Tu Jahan Mein Hai Diwana-e-Hijaz

Move your hand of Love towards your pocket
You are world famous as the lover of Hijaz

Daru-Shifa Hawali-e-Batha Mein Chahye
Nabz-e-Mareez Panja-e-Esa Mein Chahye

The hospital in the suburbs of Batha is needed
In the hands of ‘Isa the patient’s pulse is needed”

Main Ne Kaha Ke Mout Ke Parde Mein Hai Hayat
Poushida Jis Tarah Ho Haqiqat Majaz

I said “Life lies in the veil of death
As the Truth lies veiled in metaphors

Talkhabah-e-Ajal Mein Jo Ashiq Ko Mil Gya
Piya Na Khizr Ne Mai-e-Umer-e-Daraz

What the Lover has obtained in the position of death
Khizr could not obtain in the wine of eternal life

Auron Ko Dain Huzoor! Ye Pegham-e-Zindagi
Main Mout Dhoondta Hun Zameen-e-Hijaz Mein

Sir, convey this message of life to others
I am searching for death in the land of Hijaz

Aye Hain App Le Ke Shifa Ka Payam Kya
Rakhte Hain Ahl-e-Dard Masiha Se Kaam Kya!

Why have you brought the message of cure?
What concern do Lovers have with the Masiha.”

2 comments: